Sunday, September 30, 2007

BaAzAR

Bahut sochne ke baad maine yeh topic chuna,kuch likhne ke liye,apne ehsaas jo sirf merey hain,yeh soch jo meri subah o shaam mein shaamil hain.
Duniya ek bazaar hi to hai,jahan kabhi pyaar bikta hai chand ehsaaso ke badle,jahan insan ka jism bikta hai uske apne kuch jazbaato ke liye,jahan khareedne wala bhi dukhi hai aur bechne wala bhi lekin is mandi mein sab jayaz hai kyon ki yahan koi bechta hai apni marzi se to koi bikta hai khudgarzi se.
Kuch aisi hi duniya se main lauta hoon,jahan ehsaaso ki kadar nahi,laut aaya hoon main wahan se jahan kabhi merey dil mein tamannao ke kuch khwab roshan hue the aur phir ek pal mein woh sheeshe ki tarah toot kar bikhar gaye.
Aaj koi apni khushiya manaa raah hoga magar yahan koi insaan veerani mein apni siskiyo ki sadaayein sun raha hai, jahan kabhi khushfaham dil ke andar athkheliya karti mohabbat apni banho ki jakdan ka ehsaas karati thi aur main chup chap us raah ki taraf bahdta jaa raha tha,maine socha nahi tha ki kabhi palat kar mujhe wapas dekhna hoga un beetey lamho ki taraf jo sach hai ya jhoot sochte sochte din aur raat kaanto ki tarah chubhte hue kat jaate hai.

kehna bahut aasan hai ki in baato ko bhul kar aagey badha jaaye,kahan aagey? kis raaste? jab har raasta un purani baato aur yaado ki taraf mud jaata hai,ab insaan kis par yaqeen karey? kis haath ko thaam kar badhe ya kis insaan ka bharosa karey,zindagi akele kab talak..jab ki mujhko bhi pataa hai gaya waqt waapas nahi aata,guzare lamhein phir nahi aayenge magar woh nashtar ban kar dil ke andar har ehsaas ko kat ta hai.
Ek nasoor sa ban kar andar hi andar zehar ki tarah failta jaa raha hai,main kaat kar nikalna ki koshish karta hoon magar yeh apne pair pasarta chala jaata hai aur ek din mujhko bhi pataa hai yeh mere jism mein fail jaayega aur main.............bebus is ke haatho maut ki neend sula diya jaoonga........Ek guzara bhayanak kal merey aaney wale kal ko andhero mein dhakel chuka hai....

Tujhey khabar nahi shayad ki khalwaton mein meri......
lahu ugalti hui zindagi karahati hai,

Tujhey khabar nahi shayad ki main wahan hu jahan.....
yeah fun nahi hai aziyat hai zindagi bhar ki.

1 comment:

Fahad Hussain said...

Khalid. aap ka post padha, accha nahin laga....mujhe maloom hai bahut blunt reaction de raha hoon magar phir bhi mujhe lagta hai umr ke jis maqaam par aap hain vahan chaati peetne se nahin balke badh kar cheezon ko badal ne mein aafiyat hai. Optimism ek thought nahin hai balke ek relative term hai jo eternal hai. Ek qadam aage badhao aur patthar ko khiskaane ki koshish karo na ki us par maatam karne ki...Love you